Fauji Tactical Shabdon ke Matlab Part 3 में हम Army के advanced tactical terms को आसान और समझने योग्य भाषा में जानेंगे। इस भाग में Field Fortification, Flank Guard, FUP, FDM, GTI जैसे महत्वपूर्ण concepts शामिल हैं, जो किसी भी defence exam और Army preparation के लिए बेहद जरूरी हैं। अगर आप Army GD, NDA या अन्य defence exams की तैयारी कर रहे हैं, तो ये notes आपकी समझ को और मजबूत बनाएंगे और आपको exam में बढ़त दिलाने में मदद करेंगे।
(Continue from 51)
51. Exploitation
Iska uddesh:
(a) Aise sthanon se labh uthana hai jin par dushman qabza nahi kar saka ho aur jinhe yadi dushman ke paas chhod diya jaye to inki sahayata se woh apni khoyi position par dobara qabza kar sakta hai, lekin yadi Akrmankari/Akrmak sena in par tej se qabza kar leta hai to yeh aage ki sankriyon (subsequent operations) ke liye sahayak siddh ho sakti hain.
(b) Kisi jawabi hamle (CA) ke liye dushman ki yojna ko ast-vyast karna hai.
52. Field Fortification
(a) Fire Trench: Zameen ke level se niche khuda hua morcha jahan se ek se zyada jawan apne hathiyaron se kargar fire dal sakte hain.
(b) Weapon Pit: Zameen ke level se niche khuda hua morcha jahan se koi weapon (51 MOR, 81 MM MOR) apna task pura kar sake.
(c) Shelter Trench: Aisa morcha jahan par splinter, hawa mein phatne wale bomb, ya nazdeek gire hue bomb se bachao ho sakta hai.
(d) Slit Trench: Zameen ke level se niche khuda hua morcha jahan par chhote halke ke dauran hawai hamle se bachao mil sakta hai. Jab ki fire trench khodne ki zarurat nahin hai, tab slit trench banaya jayega.
53. Firm Base
Yeh tactical ahmiyat rakhnewali woh jagah hai, jise par tps dwara qabza kar lene ke baad Cdr apni tazwij ko lagu kar sakta hai. Vyapak arth mein firm base ek aisa adda hai jismein ek fauj ka sanchalan karne ke liye adm support ke zaruri dasta shamil ho sakte hain.
54. First Light (Pehli Roshni)
Hukmon mein diya gaya woh waqt hai, jab ki subah suraj ki roshni hone se pahle kuch had tak dikhai dena shuru ho jata hai. Mukhtalif arms jo ki kisi operation mein hissa le rahe hon, unke dikhai dene ki zarurat ko dekhte hue ‘first light’ ka waqt muqarrar kiya jata hai.
55. Flank Guard
Column ka woh hissa jo harkat ke dauran kisi flank ki hifazat ke liye muqarrar kiya jaye, flank guard kahlata hai. Advance mein isko kisi flank par aisi tactical ahmiyat wali zameen par bar-bar qabza karna pad sakta hai jo advance ki main axis par asar dalti ho. Iski banawat aur tartib ilaqe ki halat aur use diye gaye kaam par munhasir hoti hai.
56. Flight
Nadi paar karne ke operation ka ek chhota dasta (wave dekhiye).
57. FOO (Forward Observation Officer)
Ek Artillery ka officer jo hamla karne wale troops ko dekhbhal se Artillery fire ki madad deta hai. Yeh troops ke sath harkat karte hain ya kisi observation post mein rah sakte hain.
58. FUP
Yeh woh area hai jahan par hamlawar dasta Assy A chhodne ke baad aate hain aur hamle ke liye tartib mein lagte hain. Iski khubiyan:
(a) Jahan tak ho sake obj ke square mein ho
(b) Hifazat aur chhupao mein ho
(c) Mumkin DF na ho
(d) SA fire se bahar
(e) SL se najdik aur barabar
(f) Form up hone ke liye kafi jagah ho
59. Fwd Assy A
Objective ki doori ke hisab lagakar nirikshan karna (regaining control) aur talmel baithana (final coordination) ke uddesh se Fwd Assy A ka chunao kiya jata hai.
60. Forward Nodal Pt
IB ke nazdeek se nazdeek ahmiyat wali zameen jis par def ikhtiyar kiya jata hai use fwd nodal pt kahte hain.
61. FDM
Yeh woh mine fd hai jo sabse mumkin approach par lagayi jati hai. Yeh pratik obst aur fwd nodal pt loc ke madhya nazar rakhti hue lagayi jati hain. Iski kuch khas baatein:
(a) Isko dushman ko delay karne ke liye lagaya jata hai
(b) Iski loc defender ke res ki posn par nirbhar karegi
(c) Yeh fwd nodal pt ki line mein ya uske peeche ho sakti hai
(d) Iski general tikraiban 600 m hoti hai aur ise engers ke nigrani lagate hain
62. Fwd Defended Zone
Fwd node se IB ke ilaqe ko Fwd Defended Zone kahte hain. Is mein aam taur par svi, delay aur attrition karne wale daston ko lagaya jata hai.
63. Ground of Tactical Imp (GTI)
Def ke andar woh zameen jis par dushman ka qabza ho jane par defender ko us ilaqe mein kaamyab defensive ladai lad sakna asambhav ho jaye use GTI kahte hain. Ismein nimnlikhit khubiyan ho sakti hain:
(a) Aas paas ki zameen ko dominate karti hai
(b) Is par qabza hone par aage ki karwai ke liye fire base milta hai
(c) Yahan res daston ki nigrani par nazar rakhi ja sakti hai
(d) GTI par qabza hone par ya hone se pahle jo Cdr GTI niyukt karta hai, woh GTI/us zameen jiske qabze
64. Group
Kisi formation, unit ya sub unit ke kisi operation ke liye apni bunyadi banawat se hatkar banaya gaya mila jula dasta group kahlata hai.
65. H Hour
H Hour operation shuru hone ka woh waqt hai jise kisi attack mein zaruri tor par specify kiya jata hai. Isko H minus aur H plus se zahir kiya jata hai.
66. Indirect Support
Artillery unit/iska fire bagair kisi direct support ke diya jata hai.
67. Inter Communication
Koi unit formation ke andar apas mein sanchar banaye rakhne ke liye istemal kiya jane wala system.
68. Interdiction
Dushman ki harkat aur supply ko rokne ke liye kiya gaya fire.
69. Infiltration (Chhup Kar Ghusna)
Chhote-chhote dasto mein dushman ki pichhli line mein ghus kar uske system ko disturb karna infiltration kehlata hai.
70. Intermediate Position
Withdrawal mein maujuda aur naye main position ke beech ki position ko intermediate position kahte hain.
71. Isolation
Dushman ko madad aur reinforcement se alag kar dena isolation kehlata hai.
72. Investment
Dushman ke kisi ilaqe ko gher lena jisse woh bahar na nikal sake.
RELATED BLOG —
- FAUJI TACTICAL SHABDON
- ADVANCE KI PARICHAY
- ADVANCE KI PLANNING
- ATTACK KI PARICHAY
- DEFENCE – PARICHAY
- Technical data of 5.56mm INSAS Rifle
- 5.56 mm INSAS LMG basic data
- अम्बुश (Ambush) part 1
Yeh website mera ek dusra platform hai jahan par main Defence, Study Notes aur educational content ko simple aur easy language me share karta hoon. Iske alawa mera ek aur website bhi hai – onespaceai.com, jahan par aapko AI tools, technology updates aur online earning se related useful jaankari milti hai.
Agar aap naye digital tools, AI learning aur smart kaam karne ke tarike seekhna chahte hain, to aap onespaceai.com par visit kar sakte hain. Dono platforms ka main aim hai ki users ko sahi aur useful information aasaan bhasha me provide ki ja sake.