FAUJI TACTICAL SHABDON (PART 2)

Fauji Tactical Shabdon ke Matlab Part 2 में हम Army के important tactical terms को आसान और साफ भाषा में समझेंगे। इस भाग में Contingency Position, Covering Troops, D Day, DF Task, Defended Area जैसे जरूरी concepts शामिल हैं, जो defence exam और Army preparation के लिए बेहद महत्वपूर्ण हैं। अगर आप Army GD या किसी भी defence exam की तैयारी कर रहे हैं, तो ये notes आपके लिए बहुत मददगार साबित होंगे।


27. Contingency Posn

Yeh defensive ladai mein pahle se tayar ki hui woh posn hai jahan ek sub unit/unit dushman se vishesh ladai jiske liye main posn tayar nahin hai ko vifal karne ke liye jati hai.


28. Co-ordinating Line

Zameeni nishanon se zahir ki gai woh farzi line; jise raat ko rear partian withdrawal mein diye hue waqt ke andar paar karti hain. Aisi halat mein istemal ki jati hain, jab ki kuch rear partian alahida jagah par hon ya unko mushkil jagah par se move karna ho aur jabki unka akhiri withdrawal mukhtalif waqton par kiya jaye, taki unke withdrawal ko dushman kaat na de. Dusre tamam rear partiyon ko diya hua waqt pura ho chukne ke baad hamare supporting arms chhode hue position ke upar fire dal saken.


29. Cordon

Yeh kisi rakshit kshetra ke andar aur bahar sanchalan ka niyantran karne ke liye sangathit sena ya police gheron ki shrinkhla hai.


30. CA

Def mein lage hue tps dwara kisi vishesh uddesh jaise khoyi gayi zameen ko wapis lene ke liye jo hamla kiya jata hai use CA kahte hain. Yeh do qism ka hota hai: Local CA aur Deliberate CA. Inke khas farq size, level aur liye gaye samay mein hain:

(a) Local CA

Yeh attack bde, unit aur sub unit star par org kiya jata hai. Iska uddesh apne def mein ghus aaye ya ghusne ki koshish mein lage dushman ko barbaad karna hai.
(i) Bn ke darje par local CA aam taur par us Bn ke tps karte hain jin ka dushman ne kuch ilaka qabza kar liya ho.

(ii) Res tp istemal nahin hote.
(iii) Karwai jaldi se jaldi.
(iv) Pahle se rehearsals.


(b) Deliberate CA

Yeh Div ya usse uparwale Cdr dwara org tarike se puri plg aur coord ke sath kiya hua hamla hai jismein res ka istemal kiya jata hai.


31. Covering Troops

Woh fauji dasta hai jismein aam taur par tamam arms shamil hote hain aur jisko apne defensive position ke aage dekhbhal karne, dushman ko tang karne aur uske adv mein deri paida karne ke liye lagaya jata hai, takki dushman hamare def ki taiyariyon mein ya withdrawal mein koi dakhal andazi na dal sake. Covering tps shuru mein covering posn mein rehte hue aur uske baad pichhe acchhi rukawat dalne wale position mein rahte hue shatru ke barkhilaf apne kaam ko pura karte hain. Withdrawal mein yeh maujuda position aur intermediate position ya naye main position ke darmiyan karwai ki dakhalandazi se bach saken.


32. Covering Fire

Assault ya counter attack karne wale troops ki aam harkat ko madad karne ke liye jo fire supporting hathiyar se milta hai use covering fire kahte hain.


33. D Day

Kisi operation ke shuru karne ke liye jo din tajwiz kiya gaya ho use D day kahte hain. D day se pahle ke guzre hue dinon ko D minus se aur D day ke baad aane wale dinon ko D plus se zahir kiya jata hai, jaise D day se 2 din pahle ke liye D minus 2 aur D day ke 2 din baad ke liye D plus 2.


34. DDM

Depth Defensive Mine fd ki khasusiyat is prakar hai:
(a) Yeh mine fd inter node ke line mein ya usse age ho sakti hai.
(b) Defender ise hamla shuru hone se pahle ya jab hamlawar ka irada jahir ho jaye tab laga sakta hai.
(c) Yeh mine fd inter node ke defender ko defence ko isolate hone se bachav deti hai.
(d) Iska mukhya maqsad dushman ko inter nodal pt se milap karne mein deri paida karna hota hai.


35. Defended Area

Operation ki zimmedari ka woh ilaka jismein kai defended location aisi lagai gai hain jo aapas mein madad kar sakti hon aur gahrai mein hon, jaise Battalion defended area.


36. Defended Locality

Woh ilaka jisko sab taraf se bachav ke liye troops ko tartib di gai ho ya lagaye gaye hon, jaise ki platoon ya company defended locality. In mein sub-uniten is tarah lagai jati hain ki woh ek dusre ki fire se madad kar saken aur gahrai mein hon. Jin defended localities ke sath dushman ka lagav pahle hota hai unko forward defended locality (FDL) kaha jata hai.


37. Key Defended Locality (KDL)

Pahadi ilaqe mein yeh woh mahatvapurn zameen hai, jo ki shatru ke aane wale raaston ko dominate karta hai. Agar shatru is par qabja kar le to uske operation ko aage badhane mein madadgar sabit hota hai. KDL mein nimnlikhit vishestayen honi chahiye:

  • (a) Dominating aur saamrik lihaz se mahatvapurn zameen ho
  • (b) Shatru ke hamle ko viphal karne ki kaabiliyat ho
  • (c) Itna failav ho ki 100 pratishat reinforcement yahan rakhe ja saken
  • (d) Hamesha regular troops se occupy kiya jaye
  • (e) Yadi is kshetra ko shatru qabza kar le to usse hamare peeche ke ilake mein preshan ki kabiliyat hasil ho jati hai

38. Defended Post

Aisi jagah jis par ek chhoti sub-unit jaise ek section qabza kiye hue ho defended post kahlata hai. Defended post aam taur par alag khud mukhtiar nahin hota, balki kai post ikatthe aapas mein mutual support mein hote hain aur is tarah se ek defended locality banti hai.


39. Defended Sector

Kisi formation dwara raksha ke liye suvyavasthit kiya gaya kshetra jaise Brigade ya division rakshit kshetra.


40. Defended Zone

Yeh samad hath kshetra ka vah hissa hai jisse kisi rakshatmak ladai mein nichali formation dwara niyantrit rakshit kshetron ko milakar banaya jata hai. Isse us zone mein tainat ki gai sarvoch formation, aamtaur par corps, ke supurd kar diya jata hai.


41. DF Task

Yeh pahle se plan kiya hua fire hai jo dushman ke hamle ki taiyari ko astvyast karne aur hamla karne par hamle ko chur-chur karne ke liye tatkal istemal kiya ja sakta hai. Yeh teen qism ka hota hai:

(a) DF in Depth

DF in Depth ka chayan us samay kiya jata hai jab dushman ki attack ya CA ki taiyari ko ast vyast karna hota hai ya hamla karte samay uske HQ ya res daston par hamla karna ho. Dushman ke likely Assy A, Fwd Assy A, FUP aur beech ke raston mein dushman ke hamle ki taiyari ko todne ke liye chune hue DF task.

(b) Close DFs

Yeh DF task forward def locs ke najdik samne ki taraf is uddesh se kiye jate hain jahan ikattha hone ke sthan (FUP), SL ya hamle ke dauran dushman ke akraman ko viphal kiya ja sake.

(c) DF (SOS)

Yeh close DFs mein se woh task hota hai jo sab se khatarnak ho. Inka chunav dushman ke hamle ko nakamyab karne ke liye kiya jata hai. Amuman yeh us jagah chune jate hain jahan se dushman surprise kar sake. Guns aur Mor jab kahin fire na kar rahi hon tab (SOS) par lay ki jati hain.


42. Defiladed Posn

Woh posn jo dushman ke flat trajectory hathiyar aur dekhbhal se kisi qudrati rukawat jaise pahadi, uthi zameen ya katav se bachav deti hai use defiladed posn kahte hain.

  • (a) Defiladed posn directional hoti hai
  • (b) A/Tk wpn ka back blast nahin dikhai deta
  • (c) Sirf samne se bachav
  • (d) Enfilade fire kar sakte hain
  • (e) Flanking unit/sub unit ko madad kar sakte hain

43. Depth Nodal Pt

IB se 80–120 km ke beech ahmiyat wala ilaqa jisko har halat mein defender ke liye apne qabze mein rakhna zaruri hai.


44. Depth Defended Zone

Fwd defensive minefd ka peeche ka ilaqa ismein shamil inter node, ko depth defensive zone kahte hain. Is ilaqe mein hamlawar ko killing area mein channelise karke barbaad kiya jata hai.


45. Dispersal Point

Kissi route par saaf taur par niyukt kiya gaya woh point jahan par kissi column ye taishuda tukdiyan ki harkat ka control chhod diya jata hai aur yeh tukdiyan apne Commander ke aadesh anusar aage ki harkat karti hain.


46. Dropping Zone

Woh mark ki hui jagah jahan par hawai jahaz supply ya para troops ko girate hain.


47. Domination

Kisi dominating/commanding posn se kisi ilaqe par niyantran karna takih dushman chhup ke ya zyada nuqsan uthaye bina us ilaqe mein harkat na kar sake.

(a) Dominating by Obsn

Kisi ilaqe ko dekh bhal se dominate karna aur dushman ke harkat par nazar rakhna.

(b) Dominating by Fire

Woh ilaqa jo apne SA ya kisi vishesh hathiyar ke kargar range ke andar ho aur dushman aane par kargar fire dala ja sake.


48. Effective Range

Effective range woh ziada se ziada range hota hai jahan tak kisi hathiyar ka fire durust aur kargar ho aur cas ya nuqsan kare.


49. Enfilade Fire

Kisi hathiyar ka flank se kiya gaya aisa fire jisko ki aise site kiya gaya ho ki woh target ki lambai ke rukh ek sire se dusre sire tak fire gira sake.


50. Envelopment (Ghera)

Envelopment ek woh hamla hai jismein bada hamla pichhe se shatru ke withdrawal aur maintenance rakhne ke liye chhota hamla kiya jata hai.


RELATED BLOG —

FAUJI TACTICAL SHABDON

ADVANCE KI PARICHAY

ADVANCE KI PLANNING

ATTACK KI PARICHAY

DEFENCE – PARICHAY

Technical data of 5.56mm INSAS Rifle

5.56 mm INSAS LMG basic data

अम्बुश (Ambush) part 1

Leave a Comment